faraz- rahat-e-jaan

tu paas bhi ho to dil beqarar apna hai
ke humko tera nahi intezaar apna hai

mile koi bhi tera zikr chhed dete hai
ke jaisy sara jahan raazdaar apna hai

wo door ho to baja tark-e-dosti ka khayal
wo samne ho to kab ikhtiyaar apna hai

zamane bhar ke dhukhon ko laga liya dilse
aasre pe ke ek gam gusaar apna hai

faraz rahat-e-jaan bhi wahi hai kya kijiye
wo jiske haath se seena figaar apna hai

Re: faraz- rahat-e-jaan

Nice. :k:

Re: faraz- rahat-e-jaan

wo door ho to baja tark-e-dosti ka khayal
wo samne ho to kab ikhtiyaar apna hai
bohat khoob.

Re: faraz- rahat-e-jaan

:hat:

Re: faraz- rahat-e-jaan

zamane bhar ke dhukhon ko laga liya dilse
aasre pe ke ek gam gusaar apna hai
:biggthumb: