Faraz and Mehdi Hasan

Does anybody know the full shairi, of Faraz done by mehdi Hasan as well…Sholay something?

[quote]
Originally posted by Zakk:
Does anybody know the full shairi, of Faraz done by mehdi Hasan as well...Sholay something?
[/quote]

**Sholaa thaa jal-bujhaa hooN HawaayeN mujhe na do
maiN kab kaa jaa chukaa hooNN SadaayeN mujhe na do

Jo Zehar pee chukaa hooN tumhin ne mujhe diyaa
ab tum to Zindagi ki duaayeN mujhe na do

aisaa kahiN na ho ke palaT kar na aa sakooN
har baar door jaa ke SadaayeN mujhe na do

kab mujh ko Aiteraaf-e-Mohabbat na thaa 'Faraaz'
kab maiN ne ye kahaa thaa SazaayeN mujhe na do
**

(Mehdi hassan ne iss Ghazal ko gaiyaa tha)


*Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
*

[This message has been edited by Tassneef (edited July 18, 2002).]

Thanks..that's the one!!

Nice.

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


Owner of Mehkama-e-Sharafat
ô¿ô
.~.
Rude Boyz Rulez