nazar bujhi to karishmay bhi roz-o-shab k gaey
k ab talak nahi aey hein log jab k gaey
magar kisi ne hamein humsafar nahi jaana
ye aur baat k hum sath sath sab k gaey
girifta-dil thay magar hosla na haara tha
girifta-dil hein magar hoslay bhi ab k gaey
tum apni sham-e-tamanna ko ro rahay ho FARAZ
in aandhion mein to pyaaray charaag sab k gaey