**‘Faraz’ ab koi saudaa koi junuun bhi nahin
magar qaraar se din kat rahe hon yuun bhi nahin
lab-o-dahan bhii milaa guftaguu kaa fan bhii milaa
magar jo dil pe guzaratii hai kah sakuun bhi nahin
meri zubaan kee luknat sey bud_gumaan na ho
jo tuu kahe to tujhe umr bhar miluun bhi nahin
‘Faraz’ jaise koi diyaa turbat-e-havaa chaahe hai
tuu paas aaye to mumkin hai main rahuun bhi nahin **