Faraar was written a few months ago and as per my knack of writing long poems, this one also has four long parts. And knowing that there aren’t many takers for poems here, I am posting only two of them for I do not want to lose any of my fans. Bear with me guys :~)
[thumb=H]faraar3214_7330641.JPG[/thumb]
Faraar
Door kaheiN door kisi aesi jaga
jahaN koi dukh na koi dard na hi pachtaawa koi
dabey paaoN mera peecha karey ya saath chaley
kisi dam torrtey huwey khaab ki koi aah-o-baka
na to sun’ney meiN aaey aur na hi aaNkhoN meiN
kisi toot’tey huwey taarey ka koi aks paley
ya terey aaNchal sey bichrra huwa koi maasoom khayaal
merey paas aa ke beyn karey shaam dhaley
jahaaN meiN apney aap ko apni hi baahoN meiN leeye
beittha rahooN, sehlaata rahooN, thap’thapaata rahooN!
Door kaheiN door kisi aesi jaga
jahaN koi raah, na parwaah na kisi manzil ki chaah
na koi aas na koi yaas na koi maanoos sadaa
na koi baagh na basti na koi kheit na sehra
na kaheiN gheiroN ka jhurmat na koi apnoN ka dera
na koi raat na doopehar na koi shaam na savera
na kisi saey ki tamanna chahey wo aaNchal ho tera

By: Amal
[/QUOTE]
Beautiful Aymal
kisi dam torrtey huwey khaab ki koi aah-o-baka
na to sun’ney meiN aaey aur na hi aaNkhoN meiN
kisi toot’tey huwey taarey ka koi aks paley
merey paas aa ke beyn karey shaam dhaley:k:
Dilsay and ***** Vivacious *****, thanx for liking the poem :~)
Gul, finally you got it :~)
*Rameesha Ji, * nice to see you after a long gap...nazm pasand karne ke leeye shukriya...aesi koi jaga abhi tak to daryaaft nahi hui, pataa chala to aap ko zaroor bataaooN ga :) Agley 2 parts bhi jald mil jaeiN ge aap ko, lekin post shaed koi aur karey ga :~)
Masoom Muskaan, arey meri chotti si behna ko kya huwa? Kis baat pe gussa hey ye to bata do na. Pataa hey naaraaz hona buri baat hoti hey... :(