~ Faqqat ek yaad hai baqi, bas ek fareyaad hai baqi ~

Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gaee
Nazar ke saamne ghatta si chaah gaee
Kahaan se phir chale aaye yeh kuch bhatkay huwe saaye
Yeh kuch bhoolay huwe naghme jo mere pyar ne gaaye
Yeh kuch bikhri huwi yaadain, yeh kuch tootay huwe sapnay
Paraaye hogaye tu kya kabhi yeh bhi tu thay apnay
Najaane in se kyon mil kar nazar sharma gaee
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gaee…

Umeedoon ke haseen melay, tamanaoon ke woh railay
Nigahoon ne nigahoon se ajjab kuch khail se khailay
Hawa mein zulf lehraee, nazar pe bekhudi chahee
Khulay thay dil ke darwaazay, muhabbat bhi chali aee
Tamanaoon ki duniya per, jawaani chaah gaee
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gaee…

Baray rangeen zamaanay thay, tarane hi tarane thay
Magar ab poochta hai dil, woh din thay ya fasaanay thay
Faqqat ek yaad hai baaki, bas ek fareyaad hai baaki
Woh khushiyaan lutt gaeen lekin, dil-e-barbaad hai baaki
Kahaan thee zindagi meri, kahaan per aa gaee
Woh bhooli daastan lo phir yaad aa gaee

Nazar ke saamne ghatta si chaa gaee…
Woh bhooli dastaan lo phir yaad aa gaee…

bahut khoob thanks 4 sharing!

P.s: Lagta hai aaj pooranay ganay ki CD lagi hui hai ............


[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *
bahut khoob thanks 4 sharing!

P.s: Lagta hai aaj pooranay ganay ki CD lagi hui hai ............
[/QUOTE]

Lamhay :
Yes, you are rite I was listening to some old collection and thought to share a couple of them here at GS. Thank you for your visit ... !

very nice :k:

buhut khoob arif bhai

Very Nice… :flower1:

LATA is Wonder ... :)

The Song was Composed by MADAN MOHAN..

Its Wonderful :)