faqeerana aye saadaa kar chale

faqiraana aa’e sadaa kar chale
miyaaN KHush raho ham du’a kar chale

jo tujh bin na jeene ko kehte the hum
so is ahd ko ab wafa kar chale

koi na-ummidaana karte nigaah
so tum hum se muNh bhi chhipa kar chale

bahut aarzoo thi gali ki teri
so yaaN se lahu mein nahaa kar chale