Shehar Me Aisi koi Mah,jabeen Bhi To Nahi rehti,
Ghazal jis pr kahi jaay…
Alif Sa Naak ho jis ka,
To
Chehra Noon jasa ho…
Haseen Aankhain Magr
Wo Qaaf k Nukton k jesi hon
To Gaisoo Laam Jesy hon
Wo jis k Azm ki Istaqamat bhi Alif si ho,
Hon Jis k Hont “Bey” jesy…
Rukh-e-Zaiba k Khad-o-Khaal Hijjy hon,
To Chehra InQalaab Uska…
Agr Tasveer Khinchvaay to kaaghaz pr,
Faqat Ek InQalaab aay…
Faqat Ek InQalaab aay…