fankaar hai to...

fankar hai to hath pe soraj sajah ke la
bhujta hoa diya muqabil hawa ke la

darya ka inteqaam duboo de na ghar tera
saahil se roz roz na kankar utha ke la

thori si aur mouj main aa aaye hawa-e-gul
thori si us ke jism ki khushbu chura ke la

Gar daikhna hai ehl-e-mashiyat ka hosla
maidan se ghar main ik maiyat utha ke la

“Saadi” ab us ka naam hai sab ki zuban par
kis ne kaha tha us ko ghazal main saja ke la