Dil Main Har Roz
Sulagtee Hay Ussi Azm Ki Low
Tujh Har Ko Roz
Bhulanay Ki Sa’ee Karta Hoon
Aur Har Roz Yahi Soch Kay Rah Jaata Hoon
Kis Tarah Khud Say Karoo’n , Tayri Tasveer Ko Judaa
Mayri Har Saans Main Is tarah Say Aabad Hay Tou
Jaisay Pholoo’n Main Mahak
Jaisay Gulistaa’n Main Sabaa
Tujh Say Baatain Na Sahi , Tujh Say Qurbat Na Sahi
Tayray Jalway Na Sahi , Tayri Enayat Na Sahi
Mayray Jeenay Ka Saharaa
Mayray Lamhoon Ka Guzar
Sochta Hoon Tayri YaaD Bhi Gar Roott’h Ga’ee
Ya Kabhi Cheen Lee Haalaat Kay Andhyaaroo’n Nay
Na Tayri YaaD Ki khushboo
Na Tasaw’wur Ki Mahak
Woh Gharri Zeest Main Shayad Ho
**“Fanaa Ka Lamhaa” **