falsafe ishq main pesh aaye savaalon ki tarah
ham pareshaan hi rahe apne khayaalon ki tarah *
sheeshaagar baithe rahe zikr-e-maseehaa lekar
aur hum toot gaye kaanchch ke pyaalon ki tarah *
jab bhi anjaam-e-muhabbat ne pukaara khud ko
waqt ne pesh kiyaa ham ko misaalon ki tarah *
zikr jab hogaa muhabbat men tabaahi kaa kahin
yaad ham aayenge duniyaa ko havaalon ki tarah *
~~~~~~~~
Sudarshan Faakir
~~~~***~~~~
Re: falsafe ishq main pesh aaye savaalon ki tarah
nice one !!