faiz

Aaye kuch Abr, kuch Sharaab aaye
Is ke baad aaye, jo azaab aaye.

Kar raha tha gam-e-jahaaN ka hisaab
Aaj tum yaad be-hisaab aaye.

Faiz, thi raah sar-ba-sar manzil
Hum jahaa pohche, kaamyaab aaye