mere dil, mere musafir
hua phir se hukm sadir
ke watan badar houn hum tum
dain gali gali saddain
karain rukh nagar nagar ka
ke surakh koi pa-en
kisi yaare nama bar ka
har aik ajnabi se poochain
jo pata tha apne ghar ka
sare koee na-shanayan
hamain din se raat karna
kabhi is se baat karna
kabhi us se baat karna
tumhain kia kahoon ke kia hai
shab-e-ghum buri bala hai
humain yeah bhi tha ganemat
jo koi shumar hota
humain kia bura tha marna
agar aik baar hota!