yaad ki raah-guzar jiss pay issi soorat say
mudattain beet gaee hain tumhay chaltay chaltay
khatam ho jaaey jo do chaar qadam aur chalo
morr parrta hay jahaan dasht-e-faraamoshi ka
jiss say aagay na koi mai hoon na koi tum ho
saans thaamay hain nigaahain keh na jaanay kis dam
tum palat aao, guzar jaao yah murr kay daikho
garche waaqif hain nigaahain keh yeh sab dhoka hay
gar kaheen tum say ham-aghosh huwi phir say nazar
phoot niklay ga wahan aur koi raah-guzar
phir issi tarah jahaan ho ga muqaabal paiham
saaya-e-zulf ka aur junbish-e-baazu ka safar
doosri baat bhi jhooti hay keh dil jaanta hay
yaaN koi morr, koi dasht koi ghaaT nahin
jis kay parday mai maira maah-e-ravaaN doob sakay
tum say chalti rahay yeh raah yunhi acha hay
tum nay murr ker bhi na daikha to koi baat nahi
zabt ka ehad bhi hay shoq ka paimaan bhi hay
ehd-o-paimaan say guzar jaanay ko jee chaahta hay
dard itna hay keh har rag mai hay mehshar barpa
aur sukoon aisa keh mar jaanay ko jee chaahta hay
I some time wonder what faiz sab has been thinking while writing these breath taking art i am alltime fav. his stuff is just amazing.
gerdash ayaam ki tehreer ko dhooney key liyee
tum sey gouya hooN dam-e-deed ju meri palkieN
tum ju chahoo tu sunnu aur ja na chaho na sunnu
aur ju herf keirne gureizaN mujh sey aankhieN
tum ju chaho tu kaho aur ja na chaho na kaho
dekhne ki to kisay taab ha lekin ab tak
jab bi us raah se guzro to kisi dukh ki kasak
tokti ha ke woh dervaza khula ha ab bhi aur us sehen mein her soo yoonhi pehle ki tarah
fersh i nomeedi i deedaar bichaa ha ab bhi