Meri teri nigah main
Jo laakh intezaar hain
Jo meray teray tan badan main
Laakh dil fagar hain
Jo meri teri ungliyoon ki behasi say
Sab qalm nazaar hain
Jo meray teray sheher shehr ki
Har ik gali main
Meray teray naqsh-pa kay bay nishan mazar hain
Jo meri teri raat kay
Sitaray zakhm zakhm hain
Jo meri teri subh kay
Gulab chaak chaak hain
Yeah zakhm saray bay dawa
Yeah chaak saray bay rafoo
Kisi pay raakh chand ki
Kissi pay os ka lahoo
Yeah hay bhi ya nahi! Bata
Yeah hay kay mehaz jaal hay
Meray tumharay ankaboot e wehm ka buna howa
Jo hay to is ka kia karain
Nahi hay to bhi kia karain
Bata bata
wat a beautifull stuff…:k:
thank u very much for sharing with us this beauty of Faiz.
Re: faiz ki ek aur nazm
wahh kia baat hay ![]()
![]()