Faiz bazaban e Nayyara Noor

tum mere paas raho
mere qaatil, mere dildaar, mere paas raho
jis gha.Dii raat chale
aasamaano.n kaa lahuu pii kar siyah raat chale
marham-e-mushk liye nashtar-e-almaas chale
bain karatii hu_ii, ha.Nsatii hu_ii, gaatii nikale
dard kii kaasanii paazeb bajaatii nikale
jis gha.Dii siino.n me.n Duubate huye dil
aastiino.nme.n nihaa.N haatho.n kii rah takane nikale
aas liye
aur bachcho.n ke bilakhane kii tarah qul-qul-e-may
bahr-e-naasudagii machale to manaaye na mane
jab ko_ii baat banaaye na bane
jab na ko_ii baat chale
jis gha.Dii raat chale
jis gha.Dii maatamii, sun-saan, siyah raat chale
paas raho
mere qaatil, mere dildaar, mere paas raho

Tum mere paas raho (Nayyara Noor) - YouTube](http://www.youtube.com/watch?v=fhNWwdY-tj4)

Re: Faiz bazaban e Nayyara Noor

Hum ke thehre ajnabi itni mulaqaton ke baad

Phir banenge aashnaa, kitni muddaton ke baad

Kab nazar mai aegi be.daag sabzey ki bahaar
Khoon ke dhabbey dholenge, kitni barsaton ke baad

Thy bohot be.dard lamhe, khatam-e-dard-e-ishq ke
Thien bohot be-mehr subhain, mehrbaan raaton ke baad

Dil to chaha, par shikast-e-dil ne mohlat hi na di
Kuch gilehy shikway bhi kar letey maanajaton ke baad

Un se jo kehne gaye they, Faiz jaan sadqa kiye

Ankahi hi reh gaii, wo baat sab baton ke baad

Hum ke thehre ajnabi itni madaraton ke baad (Nayyara Noor ](http://www.youtube.com/watch?v=KvBtfIP0pyM)

Re: Faiz bazaban e Nayyara Noor

Nice.. :-)

Re: Faiz bazaban e Nayyara Noor

Mera dard naghma-e-be sada
Meri zaat zarra-e-benishaN
Meray dard ko jo zabaN milay
Mujhe apna nam-o-nishaN mile
Mujhe raz-e-nazm-o-jahan mile
Jo mujhe ye raz-e-nihaN mile
Meri khamoshi ko bayaN mile
Mujhe kainat ki sarwarii
Mujhe dolat-e-do jahaN mile

Mera Dard Naghma-e-Besada.flv - YouTube](http://www.youtube.com/watch?v=QysParQYh7c)

Re: Faiz bazaban e Nayyara Noor

aaj bazaar mein pa-bajolan chalo

Chashm-e-nam, jaan-e-shoreeda kafi nahin
Tohmat-e-ishq-posheeda kafi nahin

aaj bazaar mein pa-bajolan chalo

Dast afshan chalo, mast-o-raqsan chalo
Khak bar sar chalo, khoon badaman chalo
Rah takta hai sub shehr-e-janaan chalo
Hakim-e-shehr bhi, majma-e-aam bhi
Teer-e-ilzam bhi, sang-e-dushnam bhi
Subh-e-nashaad bhi, roz-e-naakaam bhi
Unka dum-saaz apnay siwa kaun hai
Shehr-e-janaan main ab baa-sifa kaun hai
Dast-e-qatil kay shayan raha kaun hai
Rakht-e-dil bandh lo, dil figaro chalo
Phir hameen qatl ho aain yaro chalo

Nayyara Noor - Aaj bazar main pa ba jaulan chalo (Faiz Ahmad Faiz

Re: Faiz bazaban e Nayyara Noor

Terey gham ko jaan ki talash thi,
Tere jaan nisaar chaley gaye…

Teri raah main kartey they sar talab,
sar-e-raah guzar chaley gaye…

yeh hami they jin k libaas per,
Sar-e-Raaah siayaahi likhi gy..

Yehi daagh they jo sajaa k ham,
sar-e-bazm-e-yaar chaley gaye..

Teri Kach Adaai se Haar k ,
Shab-e-intzaar chali gy…

Mere zabt-e-haal se Rooth k,
merey gham gusaar chaley gaye…

Na savaal-e-wasl, na arze-e-gham,
na hikayeten na shikayeten…

Tere ehad main dil-e-zaar k,
sabhi ikhtiyaar chaley gaye…

Na raha junooon-e-rukh-e-wafaa,
Ye rasam ye daar karo gey kya…

jinhen jurm-e-ishq pe naaz tha,
voh gunaah gaar chaley gaye…

Terey gham ko jaan ki talash thi ,
Tere jaan nisaar chaley gaye…

Teri raah main kartey they sar talab,
Sar-e-rah guzaar chaley gaye…

Nayyara sings Faiz “tere gham ko jaan ki talash thi” - YouTube](http://www.youtube.com/watch?v=8Z--xKUVTII)

Re: Faiz bazaban e Nayyara Noor

Behtareen

Re: Faiz bazaban e Nayyara Noor

bohot khoob