Faiz Ahmed Faiz

is waqt to yeh lagta hai ke ab kuch bhi nahin hai
mehtab na sooraj na andhera na sawera
aankhon kay darechay main kisi husn ki jhalkan
na dil ki panahon main kisi dard ka dera
mumkin hai koi wahm ho mumkin hai suna ho
galiyon main kisi chaap ka ik akhri phera
shakhon main khiyalon kay ghanay per kay shayad
ab aa kay kare ga na koi khawab basera
ik ber na ik mehr na ik rabt na rishta
tera koi apna na piyara koi mera
mana kay ye sunsan ghari sukht bari hai
lekin mere dil ye to faqat aik ghari hai
himmat karo jeenay ko abhi umr pari hai
(Faiz)