Faiz Ahmed Faiz

kahin to kaaravaan-e-dard kii manzil Thahar jaaye
kinaare aa lage umr-e-ravaan yaa dil Thahar jaaye

amaa.N kaisii ki mauj-e-Khuu.N abhii sar se nahii.n guzarii
guzar jaaye to shaayad baazuu-e-qaatil Thahar jaaye

koii dam baadabaan-e-kashtii-e-sahabaa ko tah rakho
zaraa Thaharo Gubaar-e-Khaatir-e-mahafil Thahar jaaye

hamaarii Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
ye tuufaa.N hai jo pal bhar bas lab-e-saahil Thahar jaaye

nigaah-e-mu.ntazir kab tak karegii aa_iinaaba.ndii
kahiin to dasht-e-Gam mein yaar kaa mahamil Thahar jaaye

Hamari Khamoshi Bas Dil Se Lab Tak Ek Waqfa Hai
Ye Toofan Hai Jo Pal Bhar Bas Lab-e-Saahil Thehar Jaye

2 GooD :k:

Re: Faiz Ahmed Faiz

[QUOTE]
*Originally posted by smilly: *
kahin to kaaravaan-e-dard kii manzil Thahar jaaye
kinaare aa lage umr-e-ravaan yaa dil Thahar jaaye

amaa.N kaisii ki mauj-e-Khuu.N abhii sar se nahii.n guzarii
guzar jaaye to shaayad baazuu-e-qaatil Thahar jaaye

koii dam baadabaan-e-kashtii-e-sahabaa ko tah rakho
zaraa Thaharo Gubaar-e-Khaatir-e-mahafil Thahar jaaye

hamaarii Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
ye tuufaa.N hai jo pal bhar bas lab-e-saahil Thahar jaaye

nigaah-e-mu.ntazir kab tak karegii aa_iinaaba.ndii
kahiin to dasht-e-Gam mein yaar kaa mahamil Thahar jaaye
[/QUOTE]

BOhat khoob intekhaab hai..
Thank you for sharing.

thankoo:)

hamaarii Khamoshii bas dil se lab tak ek vaqfaa hai
ye tuufaa.N hai jo pal bhar bas lab-e-saahil Thahar jaaye

beautiful :)

wow smilly aaj to Faiz Ahmed Faiz ki doosri poem padhne ko mile :slight_smile:

thanks for sharing :flower1:

awesome:k:
thanx!

Re: Faiz Ahmed Faiz

beautiful :k:
thanks for sharing :slight_smile:

V nice thanks 4 sharin..:)

shukria:)

nice 1 thanx for sharing :)