Duniya hi ki raah pay aakhir,
Rafta rafta aana hoga,
Dard bhi dega saath kahan tak,
Bay-dil hi banjaana hoga.
Hairat kia hai, hum say barhh kar,
Kon bhalla baigaana hoga,
Khud apnay ko bhool chukay hain,
Tum nai kiya pehchana hoga.
Dil ka tthikaana dhoond liya hai,
Aur kahan ab jaana hoga,
Hum hongay aur wehshat hogi,
Aur yehi weerana hoga.
Is basti ka kaun masiha,
Is basti ka kaun khuda,
Khud hi hashr utthaanay hongay,
Marna aur jee jaana hoga.**