***faiz A faiz***

**

sabhi kucH hay tera diya huya,sabhi raahteiN,sabhi kulfateiN
kabhi SohbateiN kabhi furqateiN,kabhi dooriyaaN kabhi qurbateiN

yeh sukHan jo hum nay raqam kiye,yeh haiN sab warq teri yaad kay
koyi lamha Subhe wisal ka kayi sHaame hijr ki mudateiN

jo tumhari maan laiN nasiha,tau rahay ga daman`e dil maiN kiya
na kisi adoo ki adawateiN,na kisi sanam ki murrawateiN

meri jaan,aaj ka gHam na kar keh na jaanay katib`e waqt nay
kisi apnay kal maiN bhi bhool kar,kahiN likh rakhi hoN masarateiN


Let us too lift our hands,
We who do not remember the customary prayer,
We who do not remember any idol or God except love.


Very Nice CC
another one from F A F


tum jo pal ko Thahar jaao to ye lamhe.n bhii
aanevaale lamho.n kii amaanat ban jaaye.N
tum jo Thahar jaao to ye raat, mahataab
ye sabzaa, ye gulaab aur ham dono.n ke Khvaab
sab ke sab aise mubaham ho.n ki haqiiqat ho jaaye.N
tum Thahar jaao ki unavaan kii tafasiir ho tum
tum se talKhii-e-auqaat kaa mausam badale
raat to kyaa badalegii, haaalat to kyaa badale.nge
tum jo Thahar jaao to merii zaat kaa mausam badale
mahaarbaa.N ho ke na Thaharo to phir yuu.N Thaharo
jaise pal bhar ko ko_ii Khvaab-e-tamannaa Thahare
jaise daravesh-e-madaa-nosh ke pyaale me.n kabhii
ek do pal ke liye talKhii-e-duniyaa Thahare
Thahar jaao ke madaarat maikhaane se
chalate chalate ko_ii ek-aadh subuu ho jaaye
is se pahale ke ko_ii lamhaa aa_indaa ka tiir
is tarah aaye ke pevast-e-guluu ho jaaye

.

boht achei cc & et bhae:k:

very nice
aik faiz ki nazam meri taraf se bi

Mein kiya likhoon key jo mera tumhara rishta ha
woh ashiqui ki zubaaan mein kaheen bhi darj nahi ha
likha gaya ha bahut lutf-i-wasal o dard-i-firaq
magar yeh kafiyaat apni raqam naheen ha kaheen
yeh apna ishq hum-aagoosh jis mein hijr-o-wasal
yeh apna dard key ha kab sey hamdam-i-mah-o-saal
is ISHQ-i-KHAS ko her aik sey chupayee howay
Guzar gaya ha zamana galey lagaye howay

Re: faiz A faiz

[QUOTE]
*Originally posted by chand_chehra: *

yeh sukHan jo hum nay raqam kiye,yeh haiN sab warq teri yaad kay
koyi lamha Subhe wisal ka kayi sHaame hijr ki mudateiN

[/QUOTE]

V nice chando g thanks for sharin and ....:)

[QUOTE]
*Originally posted by Eastern Thoughts: *
Very Nice CC
another one from F A F


tum jo pal ko Thahar jaao to ye lamhe.n bhii
aanevaale lamho.n kii amaanat ban jaaye.N
tum jo Thahar jaao to ye raat, mahataab
ye sabzaa, ye gulaab aur ham dono.n ke Khvaab
sab ke sab aise mubaham ho.n ki haqiiqat ho jaaye.N
tum Thahar jaao ki unavaan kii tafasiir ho tum
tum se talKhii-e-auqaat kaa mausam badale
raat to kyaa badalegii, haaalat to kyaa badale.nge
tum jo Thahar jaao to merii zaat kaa mausam badale
mahaarbaa.N ho ke na Thaharo to phir yuu.N Thaharo
jaise pal bhar ko ko_ii Khvaab-e-tamannaa Thahare
jaise daravesh-e-madaa-nosh ke pyaale me.n kabhii
ek do pal ke liye talKhii-e-duniyaa Thahare
Thahar jaao ke madaarat maikhaane se
chalate chalate ko_ii ek-aadh subuu ho jaaye
is se pahale ke ko_ii lamhaa aa_indaa ka tiir
is tarah aaye ke pevast-e-guluu ho jaaye

.
[/QUOTE]

one of ma fav thanks 4 sharin...ET

Good efforts CC:k:…thanx for posting:)

wow buhat achee hai Faiz is very good he has such a lovely grasp on words perh ker buhat achee lagee thanx for posting. :)

Very Nice Chanda, Thanks for sharing:)

Thanks for sharing this beautiful ghazal, Chand jiii...

Bhoot khoob :k:

wow.kia baat hai:k:my fav poet.thanks for sharing:)

Re: faiz A faiz

[QUOTE]
*Originally posted by chand_chehra: *

meri jaan,aaj ka gHam na kar keh na jaanay katib`e waqt nay
kisi apnay kal maiN bhi bhool kar,kahiN likh rakhi hoN masarateiN

[/QUOTE]

bohat achay chanda jee.
voh kya kehtay hain urdu main...

Aur bhi dukh hain zamanay main mohabat kay siva
Rahatain aur bhi hain wasal ki rahat kay siva

bhut khooob :k:
:slight_smile: thxs 4 sharing siso :slight_smile:

nice1:k:

awwww my all time fav :k:
thanko for sharing bhai :flower1:

My all time fav... thanks for sharing !

My contribution:

Na deed hai na sakhun na harf hai na payam
Koi bhee heela-e-taskeen nahin oar aas bohat hai
Umeed e yar nazr ka mizaj dard ka rang
Tum aaj kuch bhee na poocho k dil udaas bohay hai

=========

ham paravarish-e-lauh-o-qalam karate rahain gay
jo dil pe guzarati hai raqam karate rahain gay

asbaab-e-gham-e-ishq baham karate rahain gay
viraani-e-dauraan pe karam karate rahain gay

haan talkhi-e-ayyaam abhi aur barhay gee
haan ahal-e-sitam mashq-e-sitam karate rahain gay

manzur ye talkhi ye sitam ham ko gavaraa
dam hai to madaavaa-e-alam karate rahain gay

maikhaana salaamat hai to ham surkhi-e-may se
taz'een-e-dar-o-baam-e-haram karate rahain gay

baaqi hai lahu dil mein to har ashk se paidaa
rang-e-lab-o-rukhsaar-e-sanam karate rahain gay

ek tarz-e-taghaaful hai so vo un ko mubaarak
ek arz-e-tamannaa hai so hum karate rahain gay

Many thanks guys :flower1:

very nice!
thanx for sharin! :k: :slight_smile: