**Faaslay simat gaye Dua sey kaam chal gaya
Ashk phir nikal parray, phir azab tal gaya
Kisey yakeen aaye ga, kis sey jaa k yeh kahoon
Ik bujhey chiraagh sey mera haath jal gaya
Abhi to meri aankh mein, neend bhi hai khawab bhi
Sochta hun phir kabhi tu agar Badal gaya
Ik udas raah sey, Nadi k zard pairr sey
Tera poochta raha, or chaand Dhal gaya
Tujhey bhi aik shakhs k faraib raas aa gaye
kisi ki jhooti batton sey mein bhi kuch behal gaya…!**