~ Faasilay phir yeh kyon hogaye ~

Yeh bata de mujhe zindagi
Pyar ki raah ke hamsafar
Kis tarah ban gaye ajnabi

Yeh bata de mujhe zindagi
Phool kyon saare murjha gaye
Kis leye bujh gaee chaandni
Yeh bata de mujhe zindagi

Kal jo bahoon mein thee
Aur nigahoon mein thee
ab woh garmi kahaan kho gaee

Na woh andaaz hai
Na woh awaaz hai
Ab woh narmi kahaan kho gaee

Bewafa tum nahee
Bewafa hum nahee
Phir woh jazbaat kyon sogaye

Pyar tum ko bhi hai
Pyar hum ko bhi hai
Faasilay phir yeh kyon hogaye

Yeh bata de mujhe zindagi
Pyar ki raah ke hamsafar
Kis tarah ban gaye ajnabi

Yeh bata de mujhe zindagi
Yeh bata de mujhe zindagi…

bahut khoob ! thanks 4 sharing Ab!

Yeh bata de mujhe zindagi ~~~ zindagi agar jawab deti tu kisi kay khwaub na ujhartay :)

[QUOTE]
*Originally posted by TajMahal: *
bahut khoob ! thanks 4 sharing Ab!

Yeh bata de mujhe zindagi ~~~ zindagi agar jawab deti tu kisi kay khwaub na ujhartay :)
[/QUOTE]

Aap ka reply kar dil chaha ke yeh ghazal share karon...

Kis per karay aitbaar kissay apna kahay koi
Apna hi ban ke jab loot le jaaye koi
Koi muhabbat ki baat karay tu hojaata hoon udaas
Gham judaeyoon ke kuch aise degaya koi
Dhoondoge tu na paa sakoge tum
Yeh aur baat ke khaak mein humein rula gaya koi
Mausamoo ki shiddat murjha gaee issay
Insaan ke haathoon phool jo bach gaya koi
Ab khushboo'on ki mujh ko zaroorat nahee rahi
Mehak mere aangan mein pyar ki basa gaya koi
Laga kar zakm dil pe mere 'Tajjamul'
Khud hi yaadoon ka marham laga gaya koi...

[QUOTE]
*Originally posted by Amarbail: *

wah bahut khoob ! lajawab