Ey umer-e-rawan

Ey umer-e-rawan
Taher zara
Kuch lahmay zindgi key
Mujay kisi ka intizar hai
Abahi meray hathoon mein
kisi ke wadoon ,wafaoon,umeedaon ka bandan hai
Abahi mujay kisi ki wafayon ka qaraz chukana hai
Kisi sang kiyee wadoon ko nibana hai
Ey umer-e-rawan taher zara
abahi mujay kisi ko
awaz deni hai …wapis bulana hai
Kaheen tera guzarta houwa har lahma
Fasloon ko itna naa bada day
ke meri sadaoon ki bazgashat
Kisi tak naa ponch sakey
Ey umer-e-rawan thaer zara
Mujay kuch lahmoon ka qaraz aur day


humm

beautiful :k:

Abahi mujay kisi ki wafayon ka qaraz chukana hai

qarz chukaanaa hay sigh :)

Re: Ey umer-e-rawan

abahi mujay kisi ko
awaz deni hai ......wapis bulana hai
Kaheen tera guzarta houwa har lahma
Fasloon ko itna naa bada day
ke meri sadaoon ki bazgashat
Kisi tak naa ponch sakey

wonderful sandleen:)

Waooo Sandoo tum to bohat accha likhti hoo. :k:

:blush:
thanx

waday i get some help :halo:

Very nice

Khush rahoo

Very Nice:)

***Kaheen tera guzarta houwa har lahma
Fasloon ko itna naa bada day
ke meri sadaoon ki bazgashat
Kisi tak naa ponch sakey
Ey umer-e-rawan thaer zara
Mujay kuch lahmoon ka qaraz aur day


Beautiful

:bravo:

:eek:

How can u write it… :wink:

Tum aisi tou neheeN theee… :rolleyes:

Good one :smiley: :flower1:

Yaqeen nahi ata :eek:

anyway buhat acha likhwaya hai :smiley: thanx for sharing :slight_smile: :k: