explanation needed--another faraz shair

Re: explanation needed–another faraz shair

jab shairi ki wazahaat kartay hain tu phir summary may nahi baayan kartay shair ko…phir us ko har rang ka libas or har lafaz ka zewaar pehnaya jata hai…ta k us ka har rang har pehlu har khusbo or har mehak ka ahsas or asar dil par hoo…jis ki explanation parh k dil bay qarar or rooh sarshar ho jayee…nahi tu phir shaiiri parhnay ka koi faida nahi…waqati lafazi ko enjoy karna shairi k sath insaf nahi :slight_smile: