Existence of a Good Girl

**
aaaaaaaaaaaawwwwwwwwww :o mere lahje se kia aisaa lagaa aapko? nahiiN nahiiN nahiiN…maiN to kabhi Ghussa hotaa hii nahiiN…ajtak kabhi kisi se baland aawaaz se baat nahiiN kii. sorry agar aisa lagaa aapko…kuchh issues bahot touchy hote haiN…insaan suntaa rahtaa hai, suntaa rahtaa hai to kabhi kabhi jazbaatii ho kar kuchh kah detaa hai…shaayad mere saath abhii yehii huaa…

ek kahaanii sunaataa huN:

ek aql-mand insaan ke saath uskaa naukar ek kashti emN sawaar the. naukar paanii dekh kar ghabraayaa bahooot. chillaanaa, shor machaanaa shur’u kar diyaa…bas yehii kahtaa k mujhe bachaao maiN paanii meN Doob jaauuNgaa. laakh samjhaayaa gayaa magar vo na maanaa…aqlmand saaHib ko ek hii ilaaj uskaa nazar aayaa. unhoN ne use uThaa kar daryaa meN phaiNk diyaa…vo haath paauuN maarne lagaa…vo Doobne lagaa…chillaa chilaa kar madad kii darKhowaast kartaa…thoRii der ke ba’d aql-mand saaHib ne mallaah [sailor] se kahaa k ise uThaa kar vaapas naao [boat] meN biThaa do. aisaa hii kiyaa us ne…use naao meN biThaa kar blanket oRhaayaa, hot chocolate pilaayaa…ab jaa kar us naukar kii samajh men aayaa k REAL khatra kia hotaa hai aur PERCEIVED DANGER kia hotaa hai aur aafiyat [safety] kis cheez kaa naam hai.

Allah ham sab ke liye boat kaa safar karne kii zaroorat na aane de aur hameN asl maqsad e Hayaat kii taraf moR de aur hamaarii raah aasaan farmaaye…aameen :)**