Evergreen Poetry

Re: Evergreen Poetry

shukria shukria :D

Re: Evergreen Poetry

Munir Niazi ki shohra e aafaq punjabi nazam post e khidmat :

kalo tum zinda hu:eek:

Re: Evergreen Poetry

lol

Re: Evergreen Poetry

Wonderful sharings everyone :k:

Re: Evergreen Poetry

Ye Zara Zara Si Baat Par Tarhan Tarhan Ke Azaab Kiun?
Jo Kisi Sey Bhi Khafa Na Ho Mujhey Us Khuda Ki Talaash Hey

Mujhey Laghzishon Pe Har Gharri Koi Tok’ta Hey Baar Baar
Jisey Kar Ke Dil Ko Dukh Na Ho Mujhey Us Gunaah Ki Talaash Hey

Mein Dhoondta Hoon Wo Khizaan Jisey Gulshanon Sey Pyaar Ho
Jisey Kisi Chiragh Sey Na Bey’r Ho Mujhey Us Hawa Ki Talaash Hey

Mujhey Us Nagar Ki Hey Justuju Jahan Koi Bhi Chahata Nahi Lahu
Jahan Hiran Ko Sheir Sey Dar Na Ho Mujhey Us Jaga Ki Talaash Hey

Yahan Ik Lamhey Ke Parrao Mein Merey Sarey Phool Jhulas Gaey
Ab Jahaan Talkhion Ki Tappish Na Ho Mujhey Us Fiza Ki Talaash Hey

Bina Humsafar Ke Kab Talak Koi Musafiton Mein Laga Rahey
Jahan Koi Kisi Sey Juda Na Ho Mujhey Us Raah Ki Talaash Hey

In Husn-Kadon Ke Shor Sey Meri Samaa’atein Hein Ajnabi
Ho Jis Pukaar Mein Mukhlisi Mujhey Us Sada Ki Talaash Hey

Mujhey Deikh Kar Jo Ik Nazar Merey Sarey Dard Samajh Sakey
Jo Is Qadar Ho Chaara-Gar Mujhey Us Nigaah Ki Talaash Hey

(Amal)

Re: Evergreen Poetry

Labon Pe Phool Khiltay Hain Kisi Ke Naam Se Pahle
Dilon Ke Deep Jalte Hain Charagh-E Shaam Se Pahle

Kabhi Manzar Badalne Par Bhi Qissa Chal Nahin Pata
Kahani Khatam Hoti Hai Kabhi Anjaam Se Pahle

Yahi Taare Tumhaari Aankh Ki Chilman Mein Rehte The
Yahi Sooraj Nikalta Thaa Tumhare Baam Se Pahle

Hui Hai Shaam Jungle Main Parinde Laut.Te Honge
Ab In Ko Kis Tarah Rokain Nawaah-E-Daam Se Pahle

Ya Saare Rang Murdaa The Tumhaari Shakl Banne Tak
Ya Saare Harf Muhmal The Tumhaare Naam Se Pahle

Huaa Hai Wo Agar Munsif Tou Amjad Ihtiyatan Ham
Sazaa Tasleem Karte Hain Kisi Ilzam Se Pahle

(Amjad Islam Amjad)

Re: Evergreen Poetry

Baaziichaa-E-Atfaal Hai Duniyaa Mere Aage
Hotaa Hai Shab-O-Roz Tamaashaa Mere Aage

Ik Khel Hai Aurang-E-Sulemaan Mere Nazdiik
Ik Baat Hai Ijaaz-E-Masiihaa Mere Aage

Juz Naam Nahiin Suurat-E-Aalam Mujhe Manzuur
Juz Vahm Nahiin Hastii-E-Ashyaa Mere Aage

Hotaa Hai Nihaan Gard Men Sehraa Mere Hote
Ghistaa Hai Jabiin Khaak Pe Dariyaa Mere Aage

Mat Puuchh Ke Kyaa Haal Hai Meraa Tere Piichhe
Tuu Dekh Ke Kyaa Rang Hai Teraa Mere Aage

Sach Kahte Ho Khud’biin-O-Khud’aaraa Huun Na Kyuun Huun
Baithaa Hai But-E-Aa’iinaa-Siimaa Mere Aage

Phir Dekhiye Andaaz-E-Gul’afshaanii-E-Guftaar
Rakh De Ko’ii Paimaanaa-E-Sahbaa Mere Aage

Nafrat Ka Gumaan Guzre Hai Main Rashk Se Guzraa
Kyuun Kar Kahuun Lo Naam Naa Us Kaa Mere Aage

Iimaan Mujhe Roke Hai Jo Khiinche Hai Mujhe Kufr
Kaabaa Mere Piichhe Hai Kaliisaa Mere Aage

Aashiq Huun Pe Maashuuq-Farebii Hai Mera Kaam
Majnuun Ko Buraa Kahtii Hai Lailaa Mere Aage

Khush Hote Hain Par Vasl Men Yuun Mar Nahiin Jaate
Aayii Shab-E-Hijraan Kii Tamannaa Mere Aage

Hai Mauj’zan Ik Qulzum-E-Khuun Kaash! Yahii Ho
Aataa Hai Abhii Dekhiye Kyaa-Kyaa Mere Aage

Go Haath Ko Jumbish Nahiin Aankhon Men To Dam Hai
Rahne Do Abhii Saaghar-O-Miinaa Mere Aage

Ham’peshaa-O-Ham’mashrab-O-Ham’raaz Hai Meraa
Ghalib Ko Buraa Kyuun Kaho Achaa Mere Aage

(Mirza Ghalib)


aina tha isliye rahta kaha
mai to ho rad-e-amal mai toot kar bikhra huwa
kon joray ga mujhay?
kon dekhay ga meray andar tumhay

Zindaa rahein to kya hai jo mar jaayein hum to kya
Duniyaa mein Khaamoshii se guzar jaayein ham to kya

Hastii hee apni kya hai zamaaney ke saamaney
Ik Khvaab hain jahaan mein bikhar jaayen hum to kya

Ab kaun muntazir hai hamaarey liye wahaan
Shaam aa gaee hai laut ke ghar jaayen hum to kya

Dil ki Khalish to saath rahegi tamaam umr
Dariya-e-gham ke paar utar jaayein hum to kya

Sitaray jo damaktay hain
kisee ki chashm e hairaan mai
Mulakatein jo hotee hain
Jamal e abr o baaran mai
Ye na-aabaad waqtoan mai
Dil e nashaad mai hogi
Mohubut ub nahi hogi
Ye kuch din baad mai ho gee
Guzar jaaein gay jub ye din
Ye unki yaad mai ho gee

**Shab-e-Hijar Awesome choice by Amjad Islam Amjad** *

Re: Evergreen Poetry

Re: Evergreen Poetry

Hum hain mataa-e-kuuchaa-o-baazaar ki tarha
Uthti hai har nigaah Kharidaar ki tarha

Is ku-e-tishnagi mein bahut hai k ik jaam
Haath aa gaya hai daulat-e-bedaar ki tarha

Wo to hain kahin aur magar dil k aas paas
Phirti hai koi shay nigaah-e-yaar ki tarha

Seedhi hai raah-e-shauq pa yun hi kabhi kabhi
Khum ho gai hai geysu-e-dildaar ki tarha

Ab ja k kuch khula hunar-e-naakhun-e-junun
ZaKhm-e-jigar hue lab-o-ruKhsaar ki tarha

'Majrooh' likh rahey hain wo ahl-e-wafa ka naam
Hum bhi kharay huey hain gunahgar ki tarha

Shab-e-Hijar,

Naam ki tarah shaiyri bee amazing.

Re: Evergreen Poetry

[FONT=Arial, Helvetica, sans-serif]YOUN NA MILL MUJH SAY KAFA HOU JASAY

[FONT=Arial, Helvetica, sans-serif]Yun na mil mujh se khafa ho jaise sath chal mauj-e-saba ho jaise log yun dekh kar hans dete hain tu mujhe bhool gaya ho jaise ishq ko shirk ki had tak na bara yun na mil humse khuda ho jaise maut bhi aai to is naz ke sath mujhpe ehsan kiya ho jaise aise anjan bane baithe ho tum ko kuch bhi na pata ho jaise hichkiyan rat ko ati hi rahi tu ne phir yad kiya ho jaise zindgii bit rahi hai "danish" ek bejurm saza ho jaise.

(Ehsan Danish)

Re: Evergreen Poetry

rooby aap selection ko wordpad pe paste ker k wahan se copy ker k share kia kejay to yahan aapko problem nahi hogi :)

Re: Evergreen Poetry

dono jahaa.N terii mohabbat me.n haar ke
wo jaa rahaa hai koii shab-e-Gam guzaar ke

viiraa.N hai maikadaa Khum-o-saaGar udaas hai
tum kyaa gaye ke ruuTh gaye din bahaar ke

ik fursat-e-gunaah milii, wo bhii chaar din
dekhe hai.n ham ne hausale parvar-digaar ke

duniyaa ne terii yaad se begaanaa kar diyaa
tujh se bhii dil fareb hai.n Gam rozagaar ke

bhuule se muskuraa to diye the wo aaj 'Faiz'
mat puuchh val-vale dil-e-naa-kardaakaar ke


kahii.n chaa.Nd raaho.n me.n kho gayaa kahii.n chaa.Ndanii bhii bhaTak gaye
mai.n charaaG vo bhii bujhaa huaa merii raat kaise chamak gaye

merii daastaa.N kaa uruuj thaa terii narm palako.n kii chhaa.Nv me.n
mere saath thaa tujhe jaaganaa terii aa.Nkh kaise jhapak gaye

kabhii ham mile to bhii kyaa mile vahii duuriyaa.N vahii faasale
na kabhii hamaare qadam ba.Dhe na kabhii tumhaarii jhijhak gaye

tujhe bhuul jaane kii koshishe.n kabhii qaamayaab na ho sakii.n
terii yaad shaaKh-e-gulaab hai jo havaa chalii to lachak gaye

vo thakaa huaa merii baaho.n me.n zaraa so gayaa thaa to kyaa huaa
abhii mai.n ne dekhaa hai chaa.Nd bhii kisii shaaKh-e-gul pe jhukaa huaa

jise le ga_ii hai abhii havaa vo varaq thaa dil kii kitaab kaa
kahii.n aa.Nsuo.n se miTaa huaa kahii.n aa.Nsuo.n se likhaa huaa

ka_ii miil ret ko kaaT kar ko_ii mauj phuul khilaa gaye
ko_ii pe.D pyaas se mar rahaa hai nadii ke paas kha.Daa huaa

mujhe haadaso.n se sajaa sajaa ke bahut hasiin banaa diyaa
meraa dil bhii jaise dulhan kaa haath ho mehandiyo.n se rachaa huaa

vahii Khat ke jis pe jagah jagah do mahakate ho.nTho.n ke chaa.Nd the
kisii bhuule-bisare se taaq par tah-e-gard hogaa dabaa huaa

vahiii shahar hai vahii raaste vahii ghar hai aur vahii laan bhii
magar us dariiche se puuchhanaa vo daraKht anaar kaa kyaa huaa

mere saath juganuu hai ham_safar magar is sharar kii bisaat kyaa
ye charaaG ko_ii charaaG hai na jalaa huaa na bujhaa huaa