Etraaf

Re: Etraaf

Maana ke musht-e-khaak se barhkar nahi hoon main
lekin hawa ke rahm-o-karam par nahi hoon main

insaan hoon dharakte huay dil pe haath rakh
yun doob kar na dekh samandar nahi hoon main

Chehre pe mal raha hoon siyaahi naseeb ki
aeena haath mein hai sikandar nahi hoon mein

Ghalib teri zameen mein likkhi to hai ghazal
tere khad-e-sukhan ke baraabar nahi hoon main

By: Muzaffar Warsi