Ab mere paas tum aa ee ho tu kia aa ee ho
Maine maana ke tum aik paikar-e-rana’ee ho
chaman-e-dahar mein rooh-e-chaman ara’ee ho
talat-e-mehr ho, firdous ki burna’ee ho
bint-e-mahtaab ho gardoon se utar aa ee ho
Mujh se milne mein ab andisha-e-ruswaee hai
maine khud apne kiye ki ye sazaa paaee hai
Unn dino’n mujh pe qayamat ka junoon taari tha
ser pa ser-shaari-o-ishrat ka junoon taari tha
Maah paaro’n se mohabat ka junoon taari tha
Shehriyaron se raqaabat ka junoon taari tha
Bistar-e-maqmal-o-sanjaab thi dunya meri
aik rangeen-o-haseen khwaab thi dunya meri
Kia sunogi meri majrooh jawani ki pukaar
meri faryad-e-jigardoz, mera naala’e zaar
shiddat-e-karb mein doobi huee meri guftaar
mai ke khud apne mazaq-e-tarb aagei’n ka shikaar
wo gudaaz-e-dil-e-mehroom kahan se laa’oon
ab main wo jazba-e-masoom kahan se laa’oon
By: Majaz
Re: Etraaf
Jal bhi chuke parwaane ho bhi chuki ruswaee
ab khaak urhane ko baithe hain tamaashaee
Taaro'n ki ziya dil mein aik aag lagaati hai
araam se raato'n ko sote nahi saudaaee
Raato'n ki udaasi mein khamosh hai dil mera
behis hain tamannaein neend aaee ki maut aaee
Ab dil ko kissi karwat araam nahi miltaa
aik umr ka rona hai do din ki shanasaee
Aik shaam wo aaye thay aik raat farozaan thi
wo shaam nahi lauti wo raat nahi aaee
By: Shehzad Ahmed
Zamil
March 19, 2006, 9:24pm
4
Re: Etraaf
Aaha, Meer G aap ne kaise jaana k main Majaaz ki ye nazm barre arse se dhoond raha tha !!! :-)
Khush keeta ee !!!
Doosri ghazal bhi zabardast hai.
Keep sharing.
Re: Etraaf
Khuli jo aankh tu wo tha na wo zamana tha
dehakti aag thi tanhaee thi fasana tha
Ghamo'n ne baant liya mujhe yun aapas mein
ke jaise main koee luuta huaa khazana tha
ye kya ke chund hi qhadmo'n pe thak ke baeth gaye
tumhein tu saath mera duur taq nibhana tha
khud apne haath se Shahzad us ko kaat diya
ke jis darakht ki tehni pe aashiyana tha
By : Farhat Shahzad
Re: Etraaf
kahan se laon i lik it keep it up buddy
Re: Etraaf
Kisi surat sahar nahi hoti
raat idhar se udhar nahi hoti
khauf-e-sayyaad hai na barq ka dar
baat ye apne ghar nahi hoti
ab mai samjha hoon kaat ker shab-e-gham
zindagi muqhtasar nahi hoti
kitni paband-e-wazaa hai shab-e-gham
kabhi ghaer ke ghar nahi hoti
arsh hilta hai meri aahon se
lekin unn ko khabar nahi hoti
By: Qamar Jalaalvi
Re: Etraaf
Maana ke musht-e-khaak se barhkar nahi hoon main
lekin hawa ke rahm-o-karam par nahi hoon main
insaan hoon dharakte huay dil pe haath rakh
yun doob kar na dekh samandar nahi hoon main
Chehre pe mal raha hoon siyaahi naseeb ki
aeena haath mein hai sikandar nahi hoon mein
Ghalib teri zameen mein likkhi to hai ghazal
tere khad-e-sukhan ke baraabar nahi hoon main
By: Muzaffar Warsi
Re: Etraaf
Hum ko to gardish-e-halaat pe rona aaya
rone waale tujhe kis baat pe rona aaya
kaise mar mar ke guzri hai tumhe kya maloom
raat bhar taaron bhari raat pe rona aaya
kitne betaab thay rim-jhim mein peeynge lekin
aa ee barsaat to barsat pe rona aaya
kon rota hai kisi aur ke gham ki khaatir
sab ko apni he kisi baat pe rona aaya
'Saif ye din to qayamat ki tarha guzra hai
jaane kya baat thi her baat pe rona aaya
By: Saifuddin Saif
Re: Etraaf
Kaise sukoon paoon tujhe dekhne ke baad
ab kya ghazal sunaoon tujhe dekhne ke baad
awaaz de rahi hai meri zindagi mujhe
jaoon main ya na jaoon tujhe dekhne ke baad
teri nigaah-e-mast ne makhmuur kar diya
kya maekade ko jaoon tujhe dekhne ke baad
naron mein taab-e-deed he baqi nahi rahi
kis se nazar milaoon tujhe dekhne ke baad
By: Saeed Shaheedi
Re: Etraaf
Bohattt khoobbb
keep sharing.......
Re: Etraaf
good thanks for sharing :k:
Re: Etraaf
Dayam parha hua tere der per nahi hoon main
khaak aesee zindagi pe ke patthar nahi hoon main
Kyun gardish-e-mudaam se ghabra na jaaye dil
insaan hoon piyala-o-sagar nahi hoon main
Yaa Rab! zamana mujh ko mitaa ta hai kis liye
lauh-e-jahaan pe harf-e-mukarrar nahi hoon main
**
hadh chaahiye saza mein uquubat ke waaste
aakhir gunaahgaar hoon kaafir nahi hoon main
kis waaste azeez nahi jaante mujhe
laal-o-zamarud-o-zar-o-gauhar nahi hoon main
rakhte ho tum qadam meri aankhon se kyun dareg
kya aasmaan ke bhi barabar nahi hoon main
Ghalib wazeefa khwaar ho, do shah ko dua
wo din gaye kehte thay naukar nahi hoon main
By: Mirza Ghalib
**
Re: Etraaf
Mira you are doing wonders! Amazing stuff, thanks a lot for sharing! Keep it up.