Re: Etraaf
Jal bhi chuke parwaane ho bhi chuki ruswaee
ab khaak urhane ko baithe hain tamaashaee
Taaro'n ki ziya dil mein aik aag lagaati hai
araam se raato'n ko sote nahi saudaaee
Raato'n ki udaasi mein khamosh hai dil mera
behis hain tamannaein neend aaee ki maut aaee
Ab dil ko kissi karwat araam nahi miltaa
aik umr ka rona hai do din ki shanasaee
Aik shaam wo aaye thay aik raat farozaan thi
wo shaam nahi lauti wo raat nahi aaee
By: Shehzad Ahmed