Mein janti hon mujhey khabar hay
woh ek lamha
kay jis na apnay maseeha hathoon kay moojazay say
khazan ruton ko gulab kernay ka azun bakshah
woh ek lamha jo jaltay sooraj ki talkhiyoon mein
panah ka ehsas ban ker utra
woh ek lamha
guzar gaya hay
woh khawab ankhoon mein mar gaya hay
mein janti hon
mujhey khabar hay
woh ek lamha jo jan e jan tha
woh ek lamha jo baykaran tha
fakht guman tha
azab e jan tha
magar woh lamha
woh ek lamha
faseel e dil ki her ek deewar per rakam hay!
Bohat khoob..:k:
kya baat kahi hay aap nay
Wah… Nice… Dr.Sahiba ![]()
a1 :k:
zabardast :k:
Thanks guys 4 ur appreciation.........