Re: Essay likh lo-- waisey likh lo
*Mera Gaoon *
Mera aik gaoon hay, us ka naam Chak420 hay, Who Pujnab Pakistan main rehta hay, Wahana per Na koi Bas aati hay na koi Rickshaw jaata hay, Jo B aata hay Paidal aata hay, Humaray gaoon main bhut sari mujjain hain jo K sara din Khatioon main Awara gardi karti hain, Humaray gaoon key galian Bhut tang hain, Humaray gaoon main Sheeday halwai Key Dokan b hay, Wahana per motay motay ladoo hotay hain, Sheeda apnay Ladoo Khud he khata hay, Humaray gaoon main Aik Dactar B hay , Jis nay Pakistan Computer College say Medical key Degree li hay , Us Doctor ka naam Doctor Billu hay, aur Clinic ha Naam Billu Clinic hay, Humaray gaoon main aik Malak sahib B rehtay hain, Un k bass aik baray munh wala Kutta hay, Jo har Sharif aadmi ko kaat leta hai, Humaray gaoon main aik 120 saal ka baba b hay, Jo K apnay app ko abhi jawan kehta hay, Jo b us ko baba kehta hay who Danda ley kar us k pechay par jaata hay, Humaray gaoon main baba Quaid-e-Azam K zmanay key aik ghaari b hay, Jo K jab B chalty hai poora gaoon Hil jaata hay, Is liay usay Ramzaan main logon ko sehri main uthanay k liay istimaal kia jaaata hay. Humaray gaoon main aik Tractor b hay Jisay sara Gaoon Mil kar istimaal kar hay, Who Tractor bhut he keemti hay , Museum walay usay hum say Khridnay key bhut koshis kar rahay hain, Kyun k who Pakistan bannay k waqt key Nishani hay. Humaray Gaoon K fiza bhut he saaf hay, itni saaf K App Zmeen say Aasmaan Yahana tak k chand ko B dekh saktyay hain, Is k ilawa Humaray gaoon main aur b bhut c cheezain hain, Who phir kabhi bataoon ga.
Ab main chalta hoon. Rab rakha.