Essay likh lo-- waisey likh lo

Re: Essay likh lo-- waisey likh lo

Jhoot K fawaid

Nazreen Jhoot aik aisa zabardast shay hay jo har mushkil main app key madad karta hay, aur app ko ghar say Juttian parnay say bachata hay, agar App k imtehaan main number kam aye, ya dostoon K sath Gol gappay khay, Ya Phir Ghar bataye bagair Sair ko gaye hoon , tu Jhoot app ko ko is main say makhan main say baal key tarha Nikal sakta hay, Jhoot bolnay K liay Tajarba utna ziada zaroori nahi Jitni ziada Zaroori app key masoom Shakal hay, agar app key shakal ziada masoom hay tu jhoot na bol kar app apni Shakal khud zaya kar rahay hain.
Jhoot bolnay k liay mandarja Zail Cheezoon ka hona Bhut zaroori hay.
1. Masoom Shakal
2. Paka Irada
3. Thori si himat
4. Jhoot pay Bhrosa
Agar app K pass yeh cheezain mujood hain tu app Aimandari say Jhoot bol saktay hain , aur pakray jaanay Kay Chances bhut he kam hoon gay, Jhoot ko aur ziada pakka karnay K liay app Kasmain B kha Saktay hain, Kasmain aam tur un logon ki khai jaati hain jin ko aap pasand nahi kartay. Jhoot app key School life main B bhut madad karta hay, App school say Chutti mar saktay hain , aur dostoon K sath Picture dekhnay B Jaa saktay hain. Agar teacher poochay tu Apnay wafat paa chukay Dada jii ko 19-20 dafa aur be istimaal kar saktay hian.
Main tu Nazreen chun k Jhoot Bolta Nahi, Na He is ka Koi Tajarba hay. Bas Zindgi nay Bhut Kuch Sikha dia hay…………. App nay B jab Jhoot bolna ho, Ya jhoot bolnay main koi Dushwari aati ho, yaa koi aur masla ho, tu Muj say Rabta……… mat Karin ……….. kyun K main nay Jhoot bolnay Key koi factory nahi lagai hoi.
Accha tu ab main Chalta hoon………… Rab Rakha.