Khamoshi khud apni sada ho, esa bhi ho sakta hey
Sanaata khud goonjh raha ho, esa bhi ho sakta hey
Meri manzil mujhse beechar kay, janey kis haal mai ho
Meri tarhan wo bhi tanha ho, esa bhi ho sakta hey
Sehra Sehra kab taak dhoondoon, ulfat ka ek lamha
Aalam Aalam ek sehra ho, esa bhi ho sakta hey
Ehal-e-Toofan sooch rahey hain, sahil doba jata hey
Khud oonka dil doob raha ho, esa bhi ho sakta hey