Es Waqt to yun lagta hay k ab kuch bhi nahin hay
Mehtab Na Suraj Na Andheera na saweera
Aankhoon k dareechon pay kisi husn ki chilmun
aur dil ki panahoon main kisi dard ka dera
**Mumkin hay waham tha mumkin hay suna ho **
gallion main kisi chap ka ik aakhiri pheera
Khaboon main khayaloon k ghanay pair ki shayad
ab aa k karay ga na koi khawb baseera
Mana k yee sunsaan ghari sakht kari hay
lekin meray hamdam ye faqt aik ghari hay
himmat karoo geenay ki to ik umar pari hay