***zabardast shab-e-hijr. also congratulations on winning the best ghazal award. i have been away thats why this congratulations come late but is most sincere nevertheless!! ***
***Khawab Jhootay Kissi Ko Dikhaya Nahi Kertay
Meeri Jaan! Youn Kisi Ko Satya Nahi Kertay
Aik Baar Youn Kisi Ko Keh Ker Apna
Daman Phir Uss Say Churaya Nahi Kertay
Uskay Intezar Say Bhala Kia Ho Ga Hassil
Annay Ka Keh Ker Bhi Joo Aya Nahi Kertay
Rekhtay Hoon Jo Derd Bhara Dil Apnay Seenay
Dosroon Ka Dil Phir Woh Dookhaya Nahi Kertay
Doo Qadam Sath Chaal Ker Jo Juda Hoo Jaien
Aysay Loggon Ko Tu Humsafar Banya Nahi Kertay
Kistarha Guzarti Ho Gi Zindagi Unki
Pehli Muhabbat Ko Jo Dil Say Bhulaya Nahi Kertay
** Mai Khawab ban kar ussay dikhaee don
Wo Mera qurb jo chahay tu Judaee don
Kuch istarah se mujhe chahe k har ghari usko
Mai dharkanoo ki tarah qulb mai sunayee don.
Tarap Tarap k mujhe mangta rahe lekin
Siwaee apne main usay sari khudaee don.
Tamam umer sulagta rahe wo meri tarah
Mai ab ki baar usay karb e intahaee don
Kitab khol kar bethay to mera chehra ho
Mai warq warq mai har waqt usay dikhaee don**