Kia dilkash manzar hota hai, kia dilkash ratain hota hai
*jab unka tasawar hota hia , our chand se batain hoti hian * hum hotey hian wo hotey hian our chandni ratain hoti hian
*ik chaand ko taktey rehtey hian our chaand se batain hoti hain *
ye chandni raat bhi ajeeb hoti hai … ajeeb tarha dil dolna shoro kardeta hai
ek taraf Loadsheding our dosri taraf barsaat ka mosam …jab light chali gayee tu main kamrey ki ghutan se bachney ke leye chat par chala aya, saath main apna radio le aya …
Main charpayee per lait gaya our chand ko takney laga
Qareeb hi radio per gana bajney laga
Sanwali salooni si mehbooba, teri choriyaan sharang kar ke … ..
*Amreeka ke na Japaan ke * Hum tu hain diwaney multaan ke …
Main apney hi khayaloon main magan leta tha … ke hawa ke jhonkey ke saath aik man nohni khushboo ayee our main chounk utha !
ek nazuk si chappal mian , maghmali paoon … our in pairoon mian pazeb :love:
abhi nazrain qadmoon se ooper nahee ja payee theen ke dil ki dharkan tez hogai … dodhya sufaid chori dar paijama, us per sufaid hi kamez haathoom main choriyaan… Koi sadgi main itna haseen lagta hia ? bas main dekhta hi reh gaya ..
it must be the heat
plays trick on your senses…
being on this baord plays trick on your mind too..
as soon as he described the chappal I saw it doing a:bailan:
*Aap GS per tu bohat batain kartain hain, lekin yahaan bilkul chup hian *
wo achanak boli tu main chonk gaya
*Haan, real life main, main bohat kam batain karta hoon *
bas itna hi keh saka magar main ne himmat kar ke poocha : Acha suna tha ke tumharey paoon per garam tail gir gaya tha, dard tu bohat hoi hogi ab kaisa hai ?
Haan kuch din pehley ki baat hai, ab theek ho gaya hoga, dard tu hoi thee lekin main ne bardasht karli
Usney muskura kar jawab diya, main bhi muskura diya …
Aap religion forum main bohat achee batain kartein hain lekin baqi jaghoon per .. ummm .. kafi kharaab batain kartey hain
usney achanak poocha
*Kharab batain, maslan ? *
mujhey shararat soojhi
Wo kuch confuse hoi magar dosrey hi lamhey boli :
Umm … mujhey kia pata, main tu aisi batain parhti hi nahi !
*Agar parhti nahi tu kaisey pata hia ke wo kharab batain hain ? *
Bas mujhey nahi pata , main ne gappans se suna hai
Us ke gulabi gaal surkh ho gaye our main muskura diya
Choudween ka chaand kitna khubsoorat hota hia na, our iski light bhi kitni ziada hai… bijli na ho tab bhi sab kuch clear nazar ata hai, main tu itni light mian books bhi parh leti hoon …
wo apney aap main magan bol rahi thee, our uski awaz merey kanoon main ras ghol rahi thee.
Pata nahi, is poorey chand main aisi kia baat hai ke logon ko itna attract karta hai, ok.. I agree mujhey bhi acha lagta hai, iski round shape or iski light lekin ye shair log ju itney qaseedey likh detey hian iski kia waja hai ?
Wo muskrayee our boli :
Apko nahi pata chand ke andar ek kashish hoti hia, wo tu itney barey samundar ko bhi apni taraf attract kar leta hai, Insaan kia cheez hai ? Aap ne kabhi mad-o-Jazar ke barey mian suna hai ?*
{Its the time when moon is closer to earth and the forces of attraction are maximum, the level of water in oceans goes up, upto few meters }
Main uski zahanat se mutasir howay bina na reh saka our bola :
*chand ki attraction tu theek hai lekin tumhain pata hai mujhey kia cheez attract karti hai ? *
Usney poocha : Kia ???
Uski bari bari ankhoon main ta’jub ubhar aya ..
*Mujhey larkeyoon main zahanat our khubsoorti ka imtizaaj bohat attract karta hia *
Main ne uski ankhoon main dekhtey howay kaha tu usney munh dosri taraf kar lia our boli :
*Acha ab main chalti hoon ! *
main chonk gaya our is hassen mulaqaat ke youn achanak ikhtitaam se dar gaya … ji tu chahta tha ke wo younhi paas rahey our light abhi kuch der tak na ayee , magar …