ek woh hain jinhein paimaan-e wafa yaad nahin!

ek woh hain jinhein paimaan-e wafa yaad nahin
ek ham hain ke jinhein koi jafa yaad nahin

kaun kehta hai ke ab ham ko khuda yaad nahin
haath uthtey hain, koi harf-e dua yaad nahin

dhoondtey phirtey hain galiyoon mein shanasa chehrey
soortein yaad hain kuch unka pata yaad nahin

aeisey hum mahv the apni hi ghalat fehmi mein
kab hua kiya hua iqraar-e wafa yaad nahin

saamney unke hain yoon dast-e nadamat ley kar
kin gunahon ki bhugat-te hain saza yaad nahin

kiya milega hamein is baab-e tamanna se Faraz
ayese saahil hain jise koi sada yaad nahin!

Nice,Thanks for sharing Lamhay Ji:)

:k: :k:

Woww

Nice to see something from you after a long time.... this is great

Re: ek woh hain jinhein paimaan-e wafa yaad nahin!

Lajawaab :k::k::k:
Thanks for sharing !

:k:

bhut khoob :)

Re: ek woh hain jinhein paimaan-e wafa yaad nahin!

nice one…thnx for sharing:k:

kia kehnay:k:

sundar.... atee .....sundar

[QUOTE]
*Originally posted by GuL-e-Tasbeeh: *
Nice,Thanks for sharing Lamhay Ji:)
[/QUOTE]

gul :)

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Woww

Nice to see something from you after a long time.... this is great
[/QUOTE]

thanks dilsay ji lagta hai aap ko intezaar tha !!

azad ji thanks!

thanks Koyal , galaxy, nikki and jaan lewa!

[QUOTE]
*Originally posted by aadhoorighazal: *
sundar.... atee .....sundar
[/QUOTE]

well Ag thanks!

per sundar atee sundar sey kahoo na pyar hai movie yaad agaye ;)!

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *

thanks dilsay ji lagta hai aap ko intezaar tha !!

azad ji thanks!
[/QUOTE]

Jee tha tu.... magar wasa nahi... you did not come for few days i thought that you might be in a problem or not feeling well... that is all...

Chooti see tu duniya hai ak doosray ka khiyal tu rakhna paray ga na....

Do you agree...

waisa nahi aieen :rolleyes:i said intezar tha poetry ka hamari aur iss main aisa waisa kahan poetry post karnay main janab!

waisay waqae duniya bahut choti si hai !

bohat achay Lamhay, thanks for sharing :)

bohat khoob, Lamhay sis :k::k:

nice one!! :)