http://i55.tinypic.com/21c8705.jpg
*Dushman ko bhi seenay se lagaana nahe bhoolay
Hum apne buzargoon ka zamaana nahe bhoolay
Tum aankhon ki barsaat bachaaye huwe rakhna
Kuch log abhi aag lagaana nahe bhoolay
Yeh baat alag haath qalam hogaye apne
Hum aap ki tasveer banaana nahe bhoolay
Ek umer huwi mein tau hansi bhool chuka hoon
Tum ab bhi mere dil ko dukhaana nahe bhoolay …*