Ek tha larka tot batot
Naam tha uska meer salot:D
peeta tha wo soda water
khata tha badaam akhroot
Any one remember those urdu rhymes from chilhood ?
Yesterday, I heard someone singing a naat in in nearby masjid around my office. I did’t quite got the words but the tume was quite familliar. I thought quite hard and then it was ‘Twinkle twinkle little star’. I was like
is shehr se door ek gaaon hai
us gaaon ka naam garaon hai
us gaaon me jo bhee baste hain
sab do do aankho waale hain
bas ek hi unmain kana hai
woh tot batot ka nana hai…
zahir main aaka baaka hai,
lekin bari laraka hai,
kuch keh do to lar parti hai,
larti hai ro parti hai .
yeh keh ker unhen darati hai .
sun lo main baby, papa hoon
main Tot Batot ki aapa hoon…
das pattay thoray aik patta kaccha
hiran ka baccha
hiran gai paani mein
pakro uski naani ko
naani gai jail mein
hum baitay rail mein
rail mein khaai biscuit
biscuit baray kharaab
hum ne phi sharaab
shaarab bari acchi
hum ne khaai macchi
macchi mein se nikla kaanta
ammi ne maara chaanta
chaanta bari zor ka
hum ne khaai polka
polka bari thandi
hum gai mandi
mandi se laai aalo
aalo baray kacchay
allah mian sacchay
sacchay sacchay laain gein
bhai ki dulhan laain gein
bhai ki dulhan kaali
sau nakhron waali