Weraaneyaan muqaddar banee ek tere jaane ke baad
Mehromeyaan muqaddar banee ek tere jaane ke baad
Phaila huwa hai har taraf ab tu chaar sooo andhaira
Tarekeyaan muqaddar banee ek tere jaane ke baad
Be-raunaq meri tarah ghar ke dar-o-dewaar bhi hain
Udaseyaan muqaddar banee ek tere jaane ke baad
Dhaltay suraj, taptay sehra aur khizaan raseeda pattoon se
Shanasaeyyaan muqaddar banee ek tere jaane ke baad
Hotay hain har taraf se ab ishaaray meri jaanib
Ruswaaeyaan muqaddar banee ek tere jaane ke baad
Dar khula rakhtay hain ke shayad tu aye kabhi
Khush fehmeyaan muqaddar banee ek tere jaane ke baad ..