S.786
April 20, 2008, 9:17am
1
ek wahema tha dil men…
shayed kahin milu tum..,
kuch daer ruk ky pochhu
bety dinun k musam…
aawaz men hu larzish
aankhun men ek tajassus
maazi ka koi lamha
shaayed atak gaya hu
sab bhool kar bhi shayed
kuch yaad aagaya huu…
phir men tumhen bataaoun
apni khushi ki baaten..
har dukh chupa k dil men
aasodgi ki baaten…
wo chand chudhween ka
taaron bhari wo raaten
dilkash haseen shamen
masoom waardaten…,
wo piyaar ka tassawur
aur bandagi ki baaten
wo roz roz marna…
aur zindagi ki baaten
tum dukh se muskuraao
dheery se paas aao…
sar ko jhukaa k apny
chup chaap luot jaao
phir men bhi muskuraaon
man k diye bhujaaon…,
duhraaon apny ji men
EK TALKH SI HAQEEQAT
ek khuaab zindagi ka…
haan omar bhar ju dekha
kabhi hu saka na poraa…
youn hi reh gaya adhoora !
Re: EK TALKH SE HAQEEQAT
wo roz roz marna....aur zindagi ki baaten
**ek khuaab zindagi ka...
haan omar bhar ju dekha**
kabhi hu saka na poraa...
youn hi reh gaya adhoora !
Excellent sharing
S.786
April 21, 2008, 11:32am
8
Re: EK TALKH SE HAQEEQAT
thanks to all............koko phir soniya?? :)
Re: EK TALKH SE HAQEEQAT
Umda Nazm S.786
waisay mujhe long long nazmein zyada achi nahi lagti i like 2 read ghazals and short nazmz !
Plus aik member thi hamari Sonia wohi share karti thi aisi lambi lambi nazmein aur aaj kal woh gayab hain aur jabhi log apko unka multi keh rahe hain bakki andar ki baat ALLAH he jaanay :p
abeeha
April 21, 2008, 1:16pm
10
Re: EK TALKH SE HAQEEQAT
o god! its wonderful S.786:bb:
S.786
April 24, 2008, 8:40am
12
Re: EK TALKH SE HAQEEQAT
thanks aap sab ka.......allah shahid hay men soniya nahin safia hon..........yaqeen karen. :D
Re: EK TALKH SE HAQEEQAT
Zbardast Sharing .... :~)