yeh dhaga unkay liyah nahi hai…jo parh kar yahan entry maarnay walay hain, balkay unkay liyah hai jinho nay ab tak parha bhi nahi hai, ab yun bhi nahi ho sakta hai kah jinho nay parha hi na ho, aur agar parha bhi ho tou entry denay sey baaz na aai hon, aur aa bhi gaye hon tou phir pachtai hon kah kyun entry di hai na,
magar yeh dhaga unkay liyah zaroor hai jo roz roz yahan flooding nahi karpatay, iska matlab yeh nahi kah unkay liyah bhi nahi jo roz roz flooding kartay rahtay hain, unkay liyah bhi ho sakta hai jinhon nay parha ho magar flooding karnay sey tobah karli ho,
ab agar yeh silly dhaga silly hota chala gaya tou kya hoga?