mere vaalid e marHoom kii Ghazal kaa ek she’r pesh-e-Khidmat hai…mulaaHizah farmaaiye:
**
terii chashm-e-mast kii hai yeh 'ajeeb baadshaahii
kahiiN 'aql kii Kharaabii, kahiiN deen kii tabaahii!
**
isii liye kahte haiN k chashm-e-sanam tabaahii-e-deen o dunyaa!
Gham-e-zindage, gham-e-bandagi, gham-e-do jahan,gham-e-javidaan,,
Meri her nazr teri muntazir, teri her nazar mera imtihaan,,
waah, bahot Khoob she'r hai...btw, kiskaa hai? :)
Basically not onlee Aankhein r qusuurwaar but I say keh 'jo hansa woh phansa'
hahaha...ham laRke log to kahte haiN k "haNsii to phaNsii"...to, kia laRkiyaaN kahtii haiN "haNsaa to phaNsaa"? :D