Bana Gulaab Tu Kante Chubha Gaya Ek Shakhs
Hua Chiraagh Tu Ghar Hi Jala Gaya Ek Shakhs
Tamam Rang Mere Aur Saare Khuwaab Mere
Fasana Keh K Fasana Bana Gaya Ek Shakhs
Main Kiss Hawa Main Urhoon Kiss Fizaa Main Lahraoon
Dukhoon K Jaal Har Soo Bicha Gaya Ek Shakhs
Palat Sakoon Main Na Aagai Hi Barh Sakoon Jiss Par
Mujhe Yai Koon Se Rastai Laga Gaya Ek Shakhs
Muhabbatain Bhi Ajab Uss Ki Nafratain Bhi Kamaal
Meri Tarah Ka Hi Mujh Main Sama Gaya Ek Shakhs
Woh Mehtaab Tha Marham Ba Dast Aaya Tha
Magar Kuch Aur Siva Dil Dukha Gaya Ek Shakhs
Khula Yai Raaz K Aaina-E-Khana Hai Ya Dunia
Aur Is Main Mujh Ko Tamasha Bana Gaya Ek Shakhs