Ek sard aah ...

**Kaise bataayain aur kis ko bataayain Ke kaisi thee woh muskurahatein Jin mein zindagi ke ujaalay thay Kaisi thee woh nighaaein Jo is dil ko cho leti thee Kaisi thee woh khamosheyaan Jo kahaaneyaan sunaatii thee Kaise thay woh haath Jo ab in haathoon mein nahee...**

Pyar mein hum ne kya paaya thaa, choro yeh sab jaane do
Kya samjhayein, kya kaisa thaa, jo bhi thaa, ab jaane do

Nazrain sab kehti sunti thee, hum donoo chup rehte thay
Do nazroon ka aisa naata, toota thaa kab, jaane doo

Hum apne mun bhaid batatay per tum ne kab dheyaan diya
Hontoo ko hum ne jab see daala, aaye ho tu tab, jaane do

San’naatay kehtay hain mujh se, jaao jaa ke soo jaoo
Koi nahee hai, aane waala, beet gaee shab, jaane doo

Pyar mein hum ne kya paaya thaa, choro yeh sab jaane do
Kya samjhayein, kya kaisa thaa, jo bhi thaa, ab jaane do…

awesome :k:

Bohat khoob....

& Ramadan Mubarak, AB.:)

bohet khoob:k:

Re: Ek sard aah …

khoob :k: very nice lekin sad :frowning: aur mujhe bhi sad kar diya :frowning: :teary3:

thanx for sharing :k:

Lovely!

awesome