salam dosto aur dostaniyo
ummeed hai k mizaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge.
ek qit’a pesh-e-Khidmat hai. mulaaHizah farmaaiye
aapkii aaraa kaa mutamanni
_______KKF
**
na hote ham to, kahiye!, aap taRpaane kahaaN jaate?
aur, apne Husn ke andaaz dikhlaane kahaaN jaate?
adaa ke teer kis par chhoRte aur bijliyaaN kis par?
na hote ham to, kahiye!, dil ko bahlaane kahaaN jaate?**
lol…thankoo…magar hameN to yeh HaseenaayeN bin kuchh kahe aur kiye bhii taRpaa jaatii haiN…apne naaz o andaaz se, ramz o ishaare se, tanz o kinaayah se! hameN kisii taur chain nahiiN miltaa aur vo haiN k kahtii haiN:
**
aapne hamko kabhii chai’n se jeene na diyaa
zehr bhii chaahaa agar peenaa to peena na diyaa**