ek pathar ko yunh Khuda karke
kya mila aisa tajarba karke
dard barhta gaya davaa karke
lamha lamha, zara zara karke
ban gayi baddua khushi wo hi
jis ko maanga tha dua karke
zakham khaaye baray baray humne
uss se choti si illtaja karke
zindagi aazmaye ji bharke
hum bhi niklay hain hosla karke
raaste mein yaqeen mila lekin
woh bhi jata raha dagha karke
sirf yaaden hi humne payi hain
bhool jaane ka faisla karke
usski raahon ka rukh agar karna
zakham khaane ka hosla karke
yaad rakhna bhalayi auron ki
Bhool jaana magar bahala karke