Ek pal mein ek sadi ka mazaa hum se poochiye
do din ki zindagi ka mazaa hum se poochiye
bhuule hain rafta rafta unhein mudatton mein ham
qiston mein khud-kushi ka mazaa hum se poochiye
aaghaaz-e-aashqi ka mazaa aap jaaniye
anjaam-e-aashqi ka mazaa hum se poochiye
jalte diyon mein jalte gharon jaesi zau kahan
sarkar roshni ka mazaa hum se poochiye
wo jaan he gaye ki hamein unn se pyaar hai
aankhon ki mukhbari ka mazaa hum se poochiye
ha’nsne ka shauq ham ko bhi tha aap ki tarha
ha’nsiye magar ha’nsi ka mazaa hum se poochiye
hum tauba kar ke mar gaye qabl-e-ajal Khumaar
**tauheen-e-maekashi ka mazaa hum se poochiye **
Khumar Barabankvi
Koyal
2
Re: Ek pal mein
nice lagta hia yahan sab se zaiada ap ko poetry =ka shonq hia :)
Amal
3
Re: Ek pal mein
Bohat hi zabardast ghazal hey :k: … You have got an amazing eye for classical poetry. Thanx mirabbas for sharing it with us 