~*~ Ek pal mein toot jaatay hain umer bhar ke woh rishtay ~*~

*Kabhi nazrain milaane mein zamaanay beet jaatay hain
Kabhi nazrain churaanay mein zamaanay beet jaatay hain

Kisi ne aankh bhi kholi tau sonay ki nagri mein
Kisi ko ghar bananay mein zamaanay beet jaatay hain

Kabhi kaali seyaah raatain humein pal pal ki lagti hain
Kabhi ek pal bitaanay mein zamaanay beet jaatay hain

Kabhi khola ghar ka darwaza khari thee saamnay manzil
Kabhi manzil ko aanay mein zamaanay beet jaatay hain

Ek pal mein toot jaatay hain umer bhar ke woh rishtay
Woh rishtay jo banaanay mein zamaanay beet jaatay hain …

Re: ~~ Ek pal mein toot jaatay hain umer bhar ke woh rishtay ~~

What a cracker it is :lajawab:

Re: ~~ Ek pal mein toot jaatay hain umer bhar ke woh rishtay ~~

bohat alaa...har sher he lajawab hai.

Re: ~~ Ek pal mein toot jaatay hain umer bhar ke woh rishtay ~~

Shukriya Amal and Shazia ...

Re: ~~ Ek pal mein toot jaatay hain umer bhar ke woh rishtay ~~

very very nice :k:

Re: ~~ Ek pal mein toot jaatay hain umer bhar ke woh rishtay ~~

boht aala. lajawab :k: