TU Ne Jo Khwaab Tor Daale Thay
Mein Ne Mushkil Se Wo Sambhaale Thay,
Phool, Khushbu, Udaasian, Sapnay
Yeh Meri Zaat Kay Hawaalay Thay,
…
Usko Jaldi Thi, Chal Diya Warnaa
Kaale Baadal To Taalne Waalay Thay,
Un Kay Tewar Badal Gaye Kaisay ?
Wo To Duniya Badalne Waalay Thay,
Dost Aisay Dehaan Mein Aaye
Aasteen Mein Jo Palne Waalay Thay,
Takht Kay Saath Jo Milay Saathi
Bakht K Saath Dhalne Waalay Thay,
Koh-e-Kun Ko Yaqeen Tha Pathar Se
Naram Chashme Nikalnay Waalay Thay,
Ek Pal Mein Badal Gayaa Manzar
Hum Abhi Aankh Malne Waalay Thay.
http://a6.sphotos.ak.fbcdn.net/hphotos-ak-ash3/s480x480/554235_381379665250310_1307065155_n.jpg